Ghar Lut Gaya Lyrics

(Ghar lut gaya) x3 chadar chini, hogayi mei berida
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

1. Zainab dukhi, deti rahi, nana ke roze par sadaa
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

2. Jiske gale ko chum kar (nana tum roye umr bhar) x2
Sajde me hi, uski pyaasi, gardan pe khanjar chal gaya
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

3. Jiske sahare mein dukhi (nana madine se chali) x2
Wo bekhata, mara gaya, darya kinare, bawafaa
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

4. Qasim ki shaadi yu(n) huwi (ummat ne mehndi lutli) x2
Sehra me bhi, bhikri huwi, sehre ki larya, jabaja
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

5. Sughra thi jiski muntazir (chid gaya uska jigar) x2
Akbar jawaa(n), kha kar sina, jalti zami(n) par, sogaya
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

6. Dekhi jo meri bekasi (shaam-e- ghariba ropari) x2
Waris mere, mare gaye, hogayi be, aasra
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

7. Qasim ki shaadi yu(n) huwi (ummat ne mehndi lutli) x2
Sehra me bhi, bhikri huwi, sehre ki larya, jabaja
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

8. Bhaayi ka sadma sehgayi (nana me tanha rehgayi) x2
Ummat teri, hasti rahi, roti rahi mei, bakhuda
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

9. Dekha jo balwa-e-aam mei (khoo(n) roya abid shaam mei) x2
Darbaaro mei, bazaaro(n) mei, mujhko phiraya bekhata
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

10. Jiske gale ko chum kar (nana tum roye umr bhar) x2
Sajde me hi, uski pyaasi, gardan pe khanjar chal gaya
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

11. “Jawaad” Ali ki ladli (“Mesum” yu(n) roti rehgayi) x2
Deen-e-khuda, to bachgaya, ghar mera veera(n), hogaya
(Ghar lut gaya chadar chini, hogayi mei berida) x2

Read More
Leave a comment

Ya Maula Ali (AS) Lyrics

(Ya maula Ali) x8

(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x3

1. (Nabiyon ney pukaara mushkil mein) x2
Har dard ka haider maan Ali.

Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

2. Pathar mein alam gara jisne
(jisko hai khuda ka sheyr kaha) x2
Damaad-e-Nabi hai maula Ali
(jise haider-o-safdar laqab mila) x2
Hai dunya main zeeshan Ali
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

3. Mimbar pey bulaa kar Ahmed ney
(man kunto maula jisko kaha) x2
Jiska bhi hoon ab main maula
(meray baad hai uska Ali maula) x2
Jise Allah say talwar mili
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

4. Socho to zara aie Musalmano
(roze mein us par waar kiya) x2
Jo shohar-e-Fatema Zehra tha
(usko masjid main qatl kiya) x2
Hai Ahmed ka dil-o-jaan Ali
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

5. Pathar me alam gara jisne
(jisko hai Khuda ka shair kaha) x2
Damaad-e-Nabi hai maula Ali
(jise haider o safdar laqab mila) x2
Hai dunya mein zeeshan Ali
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

6. Mehman bula kar kufe me
(Imam Hassan ko zehr diya) x2
Jo god-e-Nabi main kheyla tha
(usko masjid mein zibha kiya) x2
Haay roti rahi Zehra ki kali
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

7. Ik ujra kafela pyaason ka
(jab lekar Zainab Shaam gayi) x2
Main paak Ali ki beti hoon
(roro kar Zainab kehti rahi) x2
Ab koi nahi hai chara ghar
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

Hai meri jaan Ali.
(Meri jaan Ali imaan Ali.
Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

8. “Mehboob” ne likha hai nawha
(roro ke sunata hai “Mesum”) x2
Zainab ye duain karti hai
(ghar ghar Shabbir ka ho matam) x2

Har shaks pukaarega ik din
(Ya maula Ali, Ya maula Ali.) x2

Haay mere jaan Ali

(ya maula Ali) x12

Read More
Leave a comment

Ya Habibi, Ya Hussain (AS) Lyrics

(Ya habibi ya hussain ya shafi ya hussain) x2 ya gharibi ya hussain
Ya hussaina ya imamal mazlumeena ya hussaina ya imamal masumeena
Ya hussaina
(Ya habibi ya hussain ya shafi ya hussain) x2
ya gharibi ya hussain

1. He was Hussain the grandson of Prophet Muhammad, salallahu alayhi wasallam
Hussain mercy upon mankind, saviour of all mankind
(Ya habibi ya hussain ya shafi ya hussain) x2
ya gharibi ya hussain

2. Rab ki raza se jisne gardan katayi, deen-e- nabi ki jisne laaj bachayi
(Har ghar mei jiska farshe matam bicha hai) x2
Roti hai jiske gham mei sari khudaai
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3

3. Mehman kar ke usko kufa bulaaya bayyat-e-yazid ka woh masla uthaaya
(Bole hussain kabhi mei naa karunga) x2
Sajde mei jisne apne sar ko kataya
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3

4. Zehra aur haider jiska jhula jhulaye, khatm-e-mursal bhi jiske naaz uthaaye
(khaali sawaali jiske ghar se naa jaaye) x2
Hal min ki deta hai woh ban mei sadaayein
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3

5. Akbar sa beta diya ghazi sa bhaayi, luti gayi hai ran mei jiski kamaayi
(Ab bhi gawa hai uski shaam-e- gharibaa(n)) x2
Apne lahu se shamma dee(n) ki jalaayi
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3

6. Koyi naa dekha hamne aisa namaazi, deen-e-nabi pe jisne har shay’ lutayi
(Phool bahatar diye raahe khuda mei) x2
Sab kuch lutake kiya Allah ko raazi
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3

7. “Jawaad-o-Mesum” uska matam hai ghar ghar, roye janaaze jisne pyaaro ke din bhar
(Phera gaya hai jiski gardan pe khanjar) x2
Chini gayi hai jiski behna ki chadar
(Ya hussainan ya gharibun ya zabeehun bekhata) x3
(Ya habibi ya hussain ya shafi ya hussain) x2
ya gharibi ya hussain

8. He was Hussain the grandson of Prophet Muhammad salallahu alayhi wasallam
Hussain mercy upon mankind, saviour of all mankind
(Ya habibi ya hussain ya shafi ya hussain) x2
ya gharibi ya hussain

Read More
Leave a comment

Khat Bhi Likha Tha Lyrics

(Khat bhi likhaa tha Qaasid bhi bejaa, Mera veer Akbar phir bhi na aayaa) x3

1. Roze Nabi par Sugra ne jaa kar dukhraa sunaayaa Akbar na aayaa
Khat bhi likhaa tha Qaasid bhi bejaa
Mera veer Akbar phir bhi na aayaa
Tere paasey toor gayo viran koi rastaa nazar na aave
Miljaave koi qaasid mein nu jera khat mera leijaave
Kahin behti ho si agaavaa haae dil mera gabhraave
Manghdi roz Duaa vaa viran mera nu janaazaa jaave

2. Baabaa ko main neh khat mein likhaa hai (Akbar bina to jinaa sazaa hai) x2
Dekhaa tha jabse dukhiyaa neh tabse nah chain paayaa Akbar na aayaa
(Khat bhi likhaa tha Qaasid bhi bejaa, Mera veer Akbar phir bhi na aayaa) x2

3. Aankhon mein aansu lab pe fughaan hai (batlaade naanaa Akbar kahaa(n) hai) x2
Shaahe Madina mushkil hai jinaa ghamne sataayaa Akbar na aayaa
(Khat bhi likhaa tha Qaasid bhi bejaa, Mera veer Akbar phir bhi na aayaa) x2

4. Phulo(n) se uska sehraa sajaati (haatho(n) pe uske mendhi lagaadi) x2
Armaan adhuray hojaate puray mere Khudaayaa Akbar na aayaa
(Khat bhi likhaa tha Qaasid bhi bejaa, Mera veer Akbar phir bhi na aayaa) x2

Vaadaa karke sabr kaa mera veer Akbar na aayaa
Ujre vere Sughraa key naa khat viran ne paayaa
Vich bimaari waqt guzaaraa koi dardi nazar na aayaa
Tere baadhjo viran mein nu dukh dard-a maar mukhaayaa

5. Laakhon umeedein dil mein basaa kar (behti hun uska sehraa banaakar) x2
Shaadi ka jiski aankhon mein apni sapna sajaayaa Akbar na aayaa
(Khat bhi likhaa tha Qaasid bhi bejaa, Mera veer Akbar phir bhi na aayaa) x2

6. Karbal mein dekhi kaenaat ujri (bhaai ki dekhi baaraat ujri) x2
Dekhaa hai jabse iss khwaabne hai mujhko daraayaa Akbar na aayaa
(Khat bhi likhaa tha Qaasid bhi bejaa, Mera veer Akbar phir bhi na aayaa) x2

7. “Jawad-o-Mesum” kahe Sughraa rokar (kis din palatkar aaoge Akbar) x2
Haaye muqaddar pardes jaakar mujhko rulaayaa Akbar na aayaa
(Khat bhi likhaa tha Qaasid bhi bejaa, Mera veer Akbar phir bhi na aayaa) x2

Read More
Leave a comment