Aik Boond Bhi Lyrics

Maa ne di sadaa x2
Ay mere betaa x4
Maa ne di sadaa x2

Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x3
Tarap uthi maa haae mere laal teer se chidhaa nanna sa galaa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2

1. Beta tere baad jina sakungi,
paani tere baadh pina sakungi x2
Ujraa hai Asghar mera muqaddar,
tu hay bekafan mein houn beridaa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2

2. Julaa julaati lori sunaati,
laal mei tere naaz uthaati x2
Ban mein lutgayi meri kamaayi,
khoon ka daryaa ban mei behgayaa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2

3. Teer khaake tu muskuraadiya,
roti rehgayi foj e ashkiyaan x2
Nehr-e-alqamaa arz-e-karbala,
dekhti rahi tera honsla
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2

4. Rooti hay tujko haaye Sakina,
ab kahaan tujko paaye Sakina x2
Julaa bhi khaali, jholi bhi khaali,
dukhiya julae kiska julena
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2

5. Kaise ye manzar bhool paaungi,
ashk lahed mein jee bahaungi x2
Laal tumhaari phool si gardan,
kargayaa zakhmi teer e hurmala
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2

6. Chaldiye tum bhi maan ko chhorr kar,
kaise karungi shaam ka safar x2
Maangh bhi ujri kok bhi ujri,
koi nahin hay mera aasraa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2

7. Teer khaake tu muskuraadiya,
roti rehgayi foj-e-ashkiyaan x2
Nehr-e-alqamaa arz-e-karbala,
dekhti rahi tera honsla
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2

8. Beta tere baad jina sakungi,
paani tere baadh pina sakungi x2
Ujraa hai asghar mera muqaddar,
tu hay bekafan mein hun beridaa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2

9. Dhoop mein Jawwad umr bitaayi,
pal bhi na Mesum saaye mein aayi x2
Tapti zameen par tarpa tha Asghar,
maa ko woh manzar yaad rehgayaa
Eik bhoondh bhi paani na milaa khushk thaa galaa tar na hosakaa x2

Maa ne di sadaa x2
Ay mere betaa x4
Maa ne di sadaa x2

Read More
Leave a comment

Dua e Ali (AS) Lyrics

Ya habibi ya Hussain

(Sakhi Abbas Jari Ya ilaahi mujhe de) x2

1. Ek jari chaahiye taarike shujaa’at ke liye
Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye
Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

2. Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye
Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe
Baad iske meri bas ek dua ke badle
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

3. Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera
Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera
Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

4. Koi be-yar-o-madadgaar agar hojaye
Iltaja behre madad apni zabaan par laye
Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

5. Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me
Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me
Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

6. Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho
Koi umeed na toote koi be aas na ho
Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho
Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

7. Mere maalik mere honthhon pe jab aayi ye dua
Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala
Mera Shabbir musibat mein kharaa hay tanhaa
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

8. Jab woh karbal mein ho chawbhees pehel ka pyaasa
Har kadam par use isaar ka jazba dena
Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

9. Ay “kaleem” hogayi maqbool duaa-e-Haidar
Usko “Mesum” kaha hai Fatema Zehra ne pisar
Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar
Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Read More
Leave a comment

Ai Shaam E Gharibaan Lyrics

Jab karbala ki shaam mei koyi nahi raha, Ai shaam-e-gharibaan
mazloom-e-karbala ka sar tan se tha juda ai shaam-e- gharibaan
Khaak urh rahi thi khaymo mei, zainab thi berida ai shaam-e-gharibaan
rone ki pit ne ki aati rahi sadaa ai shaam-e-gharibaan
(Ai shaam-e-gharibaan) x6

1. (Haay fatema zahra ka bharaa ghar ujar gaya) x2
(Pyaase tarap rahe the darya karib tha) x2
Khaymo se aag bhar ki to ek shor sa utha
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

2. (Haay karbala ki shaam ka manzar ajib tha) x2
(Ran me pare thay bikhre haay laash jabajaa(n)) x2
Ro roke kehrathi ye khaak-e-karbala ai shaam-e- ghariba
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

3. (Khaymo mai ashkiya hai charaaga kiye huwe) x2
(Wo fatema ke dar ko hai veera(n) kiye huwe) x2
Sibte rasool paak ka khayma jalaa huwa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

4. (Koyi nahi jo zainab-e-muztar ka saath de) x2
(Pyaase yateem bacho ke koi sar pe haath de) x2
Har simt aa rahi thi al-atash ki eik sadaa
(Ai shaam-e- ghariba) x4

5. (Karbobala mei lut gayi nana duhayi hai) x2
(Be gor-o-kafan ran me mera pyaara bhaayi hai) x2
Haay dasht nainawaa mai zainab ne ye kahaa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

6. (Sajjad gham ye bhulna paayenga umr bhar) x2
(Sayyedaniyo(n) ke sog manayenga umr bhar) x2
Aankho se ashk khu(n) ke bahayenege ab sadaa
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

7. (“Mesum” ye kaisi shaam karbal mei aayi hai) x2
(“Irfan” roke de rahi zainab duhaayi hai) x2
Pyaasa gala hussain ka khanjar se kat gaya
(Ai shaam-e-gharibaan) x4

Read More
Leave a comment

Amin Kaho Bacho Lyrics

Ameen Kaho Bacho – Mesum Abbas

Ameen x4

Karnay ko dua Rab say,
mein hath uthati houn,
amin kaho bacho,
ameen kaho bacho x3

1. Darya se abhi apne, ammu ko bulaati hoon
Ameen kaho bacho x2
Karne ko dua Rab se,
mein haath uthaati hoon,
ameen kaho bacho,
ameen kaho bacho x2

2. Khaimon mei taraayi ko, laane ka iraada hai,
Abbas ka waada hai x2
waada woh nibhaengay, mein tumko bataati hun
Ameen kaho bacho x2

Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2

3. Who pyaas ka aalam hai, lab khola nahi jata,
kuch bola nahi jaata x2
mein harfe dua apne ashkon ko banaati hun
Ameen kaho bacho x2

Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2

4. Paani jo mein kismat say, thora sa bhi paaungi
Asghar ko pilaaungi x2
bas ek dua lab par, roro kay mein laati hun
Ameen kaho bacho x2

Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2

5. Ai bachon yaqinan who, amu ka kadam hoga,
shaane pay alam hoga x2
Aahat hai balaa kiski, mein dekh ke aati hoon
Ameen kaho bacho x2

Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2

6. Mei chain na paaungi, ammu se judaa hokar,
marjaaungi roro kar x2
Allah mein tujhe apni, faryaad sunaati hun
Ameen kaho bacho x2

Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2

7. Who uth kay Madinay say, aajaaengi darya par,
deti hun sada rokar x2
ammu hai musibat mein, dadi ko bulaati hun
Ameen kaho bacho x2

Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2

8. Shabbir kay khayme mein, Nayyar hai bapa matam,
aati hai sada Mesum x2
pyaasi hu Sakina hoon, roti hoon rulaati hoon
Ameen kaho bacho x2

Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2

9. Darya say abhi apnay, ammu ko bulaati hun
Ameen kaho bacho x2

Karne ko dua Rab say,
mein haath uthaati hoon
ameen kaho bacho x2

Ameen x4

Read More
Leave a comment

Abbas (AS) Meer e Lashkaram Lyrics

Abbas meer-e-Lashkaram x3
Abbas, Abbas
Shakle Ali sheyr-e-Khuda x4
Shabbir sa jaaho hasham
Abbas meer-e-Lashkaram x4

1. Shakle Ali sheyr-e-Khuda x2
Shabbir sa jaao hasham
Abbas meer-e-Lashkaram x4

2. Ayaa Ali ka ladla x2
Kehte the dushman bhar mala x2
Sab dedo isko rastaa x2
Warna karega sar kalam
Abbas meer-e-Lashkaram x4

3. Ek nawjawan ek shehsawaar x2
Haathon mein nezaa tez dhaar x2
Dushman giraaye beshumaar x2
Bhartaa gayaa yun dum-ba-dum
Abbas meer-e-Lashkaram x4

4. Daryaa pe jaanaa hai usse x2
Paani pilaana hai usse x2
Waadaa nibhaana hai usse x2
Khaayi sakina ki kasam
Abbas meer-e-Lashkaram x4

5. Raah-e-wafaa mein khun diyaa x2
Ek bhoondh na paani piyaa x2
Daryaa pe jab gaaraa alam x2
Sab keh utthe arbo ajam
Abbas meer-e-Lashkaram x4

6. maidaan me jab ghazi gayaa x2
Haidar ki tarhaa dutt gayaa x2
Parcham ko jukne na diyaa x2
Aur hogaye baazu kalam
Abbas meer-e-Lashkaram x8

7. Mashke sakina chidd gayi x2
Pyaasi sakina rehgayi x2
Na aas ammu ki rahi x2
Jab aagaya khali alam
Abbas meer-e-Lashkaram x4

8. Ghore se jab ghazi giraa x2
Shabbir ka ik bawafaa x2
Duniyaa se rukhsat hogayaa x2
Ujraa hai zainab ke bharam
Abbas meer-e-Lashkaram x4

9. Abbas ne sheh se kahaa x2
Aqa meri hai iltijaa x2
Laashaa na jaaye khaimon mein x2
Kar dijiye itna karam
Abbas meer-e-Lashkaram x4

10. bacchon ka tutaa aasraa x2
Aayaa alam jo khun bharaa x2
Ghash mein Sakina ghir pari x2
Ye hogaya kaisa alam
Abbas meer-e-Lashkaram x4

11. Irfan ki hai iltijaa x2
Mesum ki puri ho duaa x2
Nawhagar tera mein rahun x2
Jab tak rahe sine mein dam x2
Abbas meer-e-Lashkaram x4

Read More
Leave a comment