Ay Kufey Waalo Mein Zainab (A.S) Hoon Lyrics

 

Ay kufey waalo mein zainab hoon x2
Mera baba saqiye kausar hai

Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

1. Tum jiska kalma padhte ho may zainab uski nawasi hoon
Shezadae jannat bhai merey may zainab unki pyari hoon
Pehchano mujhe may zainab hoon
Mera nana shafiye mehshar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

2. Meri madar fatema zehra hai jo jannat ki shehzadi hai
Ehkaam-e- shariat ko logon duniya mein jo lekar aae hai
Ab uski beti balwe mein be makhnaa hai be chadar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

3. Shabbir ki pyari dukhtar par yun shimr-e- laeen ne zulm kiya
Kano ke gauhar bhi cheen liye galo pe tamache bhi maare
Ye kaise musalman hai jinke seeney meyn dil nahi patthar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

4. May dekh rahi thi tegh tale bhuka pyaasa majaya tha
May dekh rahi ek din mein ghar mera saara ujdaa tha
Paamal hue sabke laashe na qasim hai na akbar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

5. Kodon ki aziyath se merey aabid ka badan bhi zakhmi hai
Behaal sakina hai meri bhuki hai bohut aur pyaasi hai
Kehti hai ro ro kar banu godi mein merey na asghar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

6. Hai baarah galo mein ek rasan dukta hai galaa ghut ta hai dum
Zulmat ki ghata-e- chaen hain dil mein hai merey shabbir ka gham
Ye kaisi musibaat aae hai gherey hue hum ko sitamgar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

7. Ahmed ne jo ye noha likha dil kaamp utha gham se uska
Irfan ghame zainab mein jab rote hue is nohay ko padha
Karte hain sabhi aaho-zaari har simpt mein barpa mehshar hai
Ay kufey waalo mein zainab hoon x2

 

Read More
Leave a comment

Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu Lyrics

Sakina Roti Haay Haee Kidhar Gaye Ammu x2

1. Hussain Qaime Mein Mashko Alam Ko Laaen Hai
Magar Taraee Pe Saqa Ko Chod Aae Hai
Najaane Kaisi Wasiyath Wo Kargaye Ammu
Sakina Roti Haa Haay Kidhar Gaye Ammu x2

2. Khud Apne Hatton Se Parcham Mein Mashk Baandhi Thi
Wahi Jagaee Thi Umeed Pyase Bachon Ki
Kahan Duaoon Ke Lekar Asar Gaye Ammu
Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

3. Kamar Ko Haathon Se Thame Huwe Hai Kyun Baba
Chidi Hai Mashk Alam Qoon Mein Hai Kyon Dooba
Ye Kya Howa Hai Kahan Be Sipar Gaye Ammu
Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

4. Ye Kaise Aey Hai Ansoon Phuphi Ki Aankhoon Mein
Abhi To Aas Thi Tashna Labi Ki Aankhoon Mein
Udhar Bhi Dekti Thi Hai The Jidhar Gaye Ammu
Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

5. Kaheen Wo Chand Sa Chehra Nazar Nahi Aata
Nigahen Pyasi Hai Saqa Nazar Nahi Aata
Udaas Hai Kahan Rashke Qamar Gaye Ammu
Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

6. Ye Pochthi Hai Qayalon Mein Khoi Khoi Si
Hai Bibiyon Ke Saron Par Ridaee Toh Baqi
Magar Ye Kisliye Chehre Utar Gaye Ammu
Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

7. Shaheed Hote Toh Qaime Mein Laate Sheh Laasha
Har Ek Shaheed Ki Mayath Ko Laaen Hai Baba
Kisi Se Poche Gi Kaise Ke Margaye Ammu
Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

8. Sakina Bibi Ki Haalath Ajeeb Hai Fidvi
Ye Sochthi Hai Wo Irfan Pyaas Ki Maari
Ye Kaise Toot Ke Kooze Bikhar Gaye Ammu
Sakina Roti Hai Haay Kidhar Gaye Ammu x2

Read More
Leave a comment

Inqulab Inqulab Lyrics

Inqulab Inqulab Inqulab Inqulab Inqulab

Zainab-e-dilgeer tera inqalab;
inqalab inqalab inqalab.
Warise thatheer tera inqalab;
inqalab inqalab inqalab.

1. Deene nabi ko toone bachaya;
maqsade sarwar toone bataya.
kaanton pe chal kar haan kantoon pe chalkar;
bolti shamsheer tera inqulab.
inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

2. Ibne ali ki majliso matam;
uncha rahega deen ka parcham.
Teri badaulat haan teri badaulat;
sha ki hamsheer tera inqulab.
Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

3. Deen ki qatir toone di chadar;
bachon ko apne waar ke sheh par.
Kardiya qurbaan haan kardiya qurbaan;
sabr ki tafseer tera inqulab.
Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

4. Teen-o-imam-o-ki tu nighehbaan;
hai ye haqiqat teri ye zubaan.
Bolta quran hai bolta quran;
zehra ki tanveer tera inqulab.
Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

5. Ghar mein laaen ke majlis-e-sarwar;
toone bapaa ki dukhtar-e- hyder.
Marhaba bibi haan marhaba bibi;
sabr ki tauqeer tera inqulab.
Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

6. Tujh pe hai nazaan saari khudai;
tujhpe fidaa hai shah sa bhai.
Sani-e-zehra ay sani-e-zehra;
zehra ki tasveer tera inqulab.
Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

7. Qutbe mein terey lehja-e-hyder;
hogaya mehshar qutbe ko sunkar.
Kaampe ehleshar haan kaampe ehleshar;
quwat-e-shabbir ter inqulab.
Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab

8. Ahmed-o-irfan padht-e- hain noha;
aap ka bibi hai badaa rutbaa.
fatah-e karbal ay fatah-e-karbal;
ay narae takbeer tera inqulab.
Inqulab inqulab inqulab inqulab inqulab.

Read More
Leave a comment