Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara Lyrics

Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2
Ashur Ke Din Chal Basa Bewaa Ka Sahara
Teraa Hi Baras Ji Saka Bewa Ka Sahara x2

1. Bhooka Tha Kaeen Roz Se Tha Tashna Dahan Bhi
Sar Par Bhi Kaeen Zaqm Hai Tukde Hai Badan Bhi
Kis Zulm Se Maragaya Bewaa Ka Sahara

Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

2.Sarwar Ne Pada Bikhri Huwi Laash Pe Noha
Maqtal Mein Hasan Aae Kiya Rooh Ne Girya
Gatri Mein Simat Kar Utha Bewaa Ka Sahara

Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

3. Madar Ke Liye Vaqaye Phoolon Se Haseen Hai
Ab Maa Ke Tamanna-O-Ke Gulshan Mein Nahi Hai
Khabon Hi Mein Ab Aae Ga Bewaa Ka Sahara

Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

4. Mein Jeeti Chali Aae Thi Uske Hi Saharey
Ab Din Ye Zaaefi Ke Bhala Kaise Guzara
Jannat Ki Taraf Ja Chuka Bewa Ka Sahara

Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

5. Hai Qaak Mein Aur Qun Mein Dube Huve Gesun
Hai Bikhre Huve Phoolon Ki Bikhri Huvi Khushbu
Kis Shaan Se Dulha Bana Bewa Ka Sahara

Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

6. Is Haal Mein Ab Maa Ko Qaraar Aaega Kyunkar
Kis Tarha Bhula Paegi Ashur Ka Manzar
Kya Chutke Milega Bhala Bewaa Ka Sahara

Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

7. Ghar Jaake Bhi Hai Bhuli Huvi Apne Watan Ko
Bas Yaad Kiya Karti Hai Paamal Badan Ko
Is Haal Mein Aakar Mila Bewaa Ka Sahara

Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

8. Fidvi Ka Likha Noha Jo Irfan Padega
Sunne Ke Liya Paak Dil Insan Bhadega
Phir Ashkon Ko Yaad Aega Bewaa Ka Sahara

Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x2

Teraa Hi Baras Ji Saka Bewaa Ka Sahara x3

 

Read More
Leave a comment

Ay Shaam Terey Baazaron Se Aati Hai Sadaa Zanjeeron Ki Lyrics

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki
Khamosh zubaan hai khanjar ki gardan hai jhuki shasheeron ki
Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

1. Ye naqsh-e- kafe paae aabid aayat hai bolte quraan ki
Hai aabilae paa qatrae qun hai aaene huq aur eimaan ke
Chamkegi jabeen suraj bankar x2
tha hashr unhi tehreeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

2. Shabbir pe rouze aashura dhae gae laakhon zulmon sitaam
Zakhmi tha badan chalni tha jigar maidaan mein tanha shahe umam
Barsae gaye the patthar bhi x2
baarish bhi huvi thi teeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

3. Naize se tilavath shah ne ki ek hashr bapaa baazar mein tha
Darbaar mein qutbae zainab se larza sa dar-o-deevar mein tha
Mimbar pe gaye sajjad-e-hazeen x2
Ek goonj uthi taqreeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

4. Wo shaam-e-gareeban ka manzar tha ek qayamat ka aalam
The sehme huve nanhe bache hairaan-o-pareshan ehl-e-haram
Qaimon ko jalaen the aadan x2
Haalat thi ajab dilgeeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

5. Cheeni hai laeenon ne chadar durre bhi lagae hai zaalim
The ek rasan mein barah gale kaaro pa chalaen hai zaalim
Ye izzat ye tauqeer huvi x2
Tatheer ke daamangeeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

6. Asghar ke gale par teer lagaa akbar ke kaleje mein naiza
Ek kundh churi se zaalim ne shabbir ka kaata khushk galaa
Yun kaati gae hai shiryaane x2
Quraan teri tafseeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki

7. Ye aah-o-fughaan ye ashko lahu ye tazia aur ye majlise ghaam
Ye seena zani ye mask-o-alam ye nouha-e-irfan aur matam
Halki si jhalak hai ek akhtar x2
Un dard bhari tasveeron ki

Ay shaam terey baazaron se aati hai sadaa zanjeeron ki x2

Read More
Leave a comment

Aa Palat Aa Ay Hussain (A.S) Lyrics

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2
Tujhse raazi hai khuda aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

1. Asr-e- ashur ka hangaam qayamat ka samaa
Dhoop mein jalti hui reth se uthta hai dhuan
Bhuk aur pyaas ka maara hai har ek peer-o-jawan
Shiddat-e-pyaas se hai tadkhi hui teri zubaan
Qushk hai tera galaa aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

2. Tera har ek amal nek hai tabinda hai
Muarika huq ke liye tera ye painda hai
Sabr-e-ayub terey sabr se sharminda hai
Qatl jo huq ke liye hogaya vo zinda hai
Terey huq mein hai baqaa aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

3. Tune islaam ko akbar ki jawani de di
Thi jo nana ki nishaani vo nishani de di
Nutq eimaan ko ashkon ko ravani de di
Qatm jo ho naa sakegi vo kahaani de di
Naam uncha hai tera aa palat aa ay hussai

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

4. Subh-o-se tune kaen laashe uthaye hai hussain
Zakhm par zakhm har ek gaam pa khaye hai hussain
Dushman-e-deen bohut tujhko satae hai hussain
Khanjaro tegh-o-sinaa tujh pa chalae hai hussain
Tune har zulm sahaa aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

5. Laash-e-qasim ke rakhe tukde abaa mein tuney
Wakf ki apni zubaan humdosana mein tuney
Ghar kiya apna fida rahe khudaa mein tuney
Zulm kya kya na sahe karbobala mein tuney
Kar diya waada wafaa aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

6. Hogaya qatm har ek nasir-o-yaawar tera
Tera qasim hai na ab hai ali akbar tera
Aun hai aur na mohammad hai na asghar tera
Sogaya nehr pa abbas-e-dilawar tera
Tu akela hai khada aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

7.aa merey paas mohammad ke nawase aaja
Ay merey teen shabo roz ke pyaase aaja
Jaanib-e-arshe bareen karbobala se aaja
Ab to milne ke liye apne khuda se aaja
Mera sab kuch hai tera aa palat aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x2

8. Tera noha terey akhtar ne likha hai shabbir
Terey irfan ne noha ye padha hai shabbir
Majlis-e-gha mein ajab hashr bapaa hai shabbir
Ye bhi ek tera karam teri aata hai shabbir
Deke ummat ko dua aa palaty aa ay hussain

Ghaaib se aayi sadaa aa palat aa ay hussain x3

 

 

Read More
Leave a comment