Aei Rasool-E-Amin by Junaid Jamshed

NaatKhawan: Junaid Jamshed
http://www.ufdpoint.com/naats/junaid-jamshed/Junaid-Jamshed-Mehboob-E-Yazdaan/05%20-%20Aei%20Rasool-E-Amin%20(UFDpoint.Com).mp3

Lyrics

Be Khabar Tu Jauhar-i Aa’inah Ayyaam Hai
Tu Zamaane Mai Khuda Ka Aakhri Paigham Hai. . . !!!

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujh Sa Ko’i Nahi, Tujh Sa Ko’i Nahi

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujh Sa Ko’i Nahi, Tujh Sa Ko’i Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen

Bazm-e-Kaunain Pehle Sajaa’i Gayi
Phir Teri Zaat Manzar Pai Laayi Gayi

Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen
Tujh Sa Ko’i Nahi, Tujh Sa Ko’i Nahi
Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen

Mustafa, Mujtaba, Teri Madh Sana
Mere Bas Mai Nahi, Dastaras Mai Nahi

Dil Ko Himmat Nahi, Lab Ko Yaara Nahi
Tujh Sa Ko’i Nahi, Tujh Sa Ko’i Nahi

Mustafa, Mujtaba, Teri Madh Sana
Dil Ko Himmat Nahi, Lab Ko Yaara Nahi ( spEcialy these linEs )

Ae Rasul-e-Amin, Tujh Sa Ko’i Nahi

Dast-e-Qudrat Ne Aisa Banaaya Tujhe
Jumla Awsaaf Sai Khud Sajaaya Tujhe

Ae Azal Ke Haseen, Ae Abad Ke Haseen
Dhoondhti Hai Tujhe Meri Jaan-e-Hazeen

Tera Sikkah Rawa Kul Jahan Mai Huwa
Is Zameen Mai Huwa, Aasmaan Mai Huwa

Kya Arab Kya Ajam Sab Hai Zair-e-Nagin
Taubah Taubah Nahi, Ko’i Tujh Sa Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujh Sa Ko’i Nahi, Tujh Sa Ko’i Nahi

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujh Sa Ko’i Nahi, Tujh Sa Ko’i Nahi

Ae Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen. . . !!!



download naat

Attention: The internal data of table “5” is corrupted!
Continue Reading....
Read More
1

Ya Rab Bimarey Kerbobala Lyrics

(Yarab Bemare Karb o Bala, Kaa hai waasta
Jo hai mariz unko tu dey, Jalda ab shafa) (x2)

1. (Bimaar watan fatemah sugara ka waasta
Masooma ka wateem sakina ka waasta) (x2)
Dubaa labey dariyaa ho safina ka waasta
Aye merey khuda sahey madina ka waasta

(Ya rab beemar e karbobala, Kaa hai waasta
Jo hai mariz unko tu dey, Jalda ab shafa) (x2)

2. (Bimaar ki haalat hai yeh deykhi nahi jaati
Mei kya karu gham sey meri bhar jati hai chaati) (x2)
Bas yaad mei terey mei musalaah hun bhichaati
Juz tera nahi koyi mera muniso saathi

 

(Ya rab bimarey kerbobala, Kaa hai waasta
Jo hai mariz unko tu dey, Jalda ab shafa) (x2)

3. (Karti hun dua’a rab sey mei ya hazrat-e-sajjad
Hai aasara tumhara tumhi kijiyo imdaad) (x2)
Hai kauna mera jisey karun jaa key mei fariyaad
Imdaad talab hai meri tum kijiyo imdaad

(Ya rab bimarey kerbobala, Kaa hai waasta
Jo hai mariz unko tu dey, Jalda ab shafa) (x2)

4. (Bimaar watan fatemah sugara ka waasta
Masooma ka wateem sakina ka waasta) (x2)
Dubaa labey dariyaa ho safina ka waasta
Aye merey khuda sahey madina ka waasta

(Ya rab bimarey kerbobala, Kaa hai waasta
Jo hai mariz unko tu dey, Jalda ab shafa) (x2)

5. (Bimaar ki haalat hai yeh deykhi nahi jaati
Mei kya karu gham sey meri bhar jati hai chaati) (x2)
Bas yaad mei terey mei musalaah hun bhichaati
Juz tera nahi koyi mera muniso saathi

(Ya rab bimarey kerbobala, Kaa hai waasta
Jo hai mariz unko tu dey, Jalda ab shafa) (x2)

6. (Bimaar key liyeh tera yeh zikhra shafaa hai
Har isma tera unkey liyeh ek dawaa hai) (x2)
Tun kun faya kun hai vo teyrey dar ka ghada hai
Tun chaahai tow ek aan mei hi unki shafa hai

(Ya rab bimarey kerbobala, Kaa hai waasta
Jo hai mariz unko tu dey, Jalda ab shafa) (x2)

Lyrics Information
Recited By: Fatima Dhamani & Batool Dhamani

 

 

Read More
Leave a comment