Ye aarazu hai k jab bhi gale lagaauun use
hisaar-e-zaat se baahar nikaal laauun use
vo jal raha thaa kari dhuup ki tamaazat mein
milaa jo ab to ohrhaa duungaa apani chaa’onn usey
ye ishq bhi hai ajab imtihaan-e-ahad- e-wafaa
wo aazamaaye mujhe aur main aazamaauun use
wo shahar shahar chiraagaan sahi magar ek din
hawaayein yaad dilaayeingi apnaa gaana usey
wo apne khuwaab mein shaayad mujhii ko dekhta ho
main tashnaa lab sahi sote mein kyaa jagaauun use