Be Khata Mara Gaya Lyrics

Ya Hassan x6

Bay Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba x3

1. Zehr se tukre jigar, khoon say kafan laal huwa
Wa Hassan-e-sabz-e-qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba x2

2. Khun ugalte huwe bhayi ko behan ne dekha
or tarap ker ye kaha x2
Teri gurbat pe ay bhayi teri Zainab ho fidaa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba x2

3. Maa ke dukh se abhi azad kahan thi zainab
hogaya kaisa gazab x2
Baap zinda na raha Bhayi suwe khuld gaya wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba x2

4. Ker diya Zahr-e-hala hal ne Jigar ke tukre
Aur Qasim ke liye x2
Kamsini me hai ye gham Sham-e-gharibi jaisa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba x2

5. Ghar se ik baar janaza jo nikal jata hai
kab wo phir aata hain x2
Aisa taboot hai ye lot ke jo ghar ayaa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba x2

6. Sheh ne us wakht jo Ghazi ko na roka hota
hashr ho jata bapaa x2
teer aate na janaze pe tumhare Maula wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba x2

7. Sheh ko Rehan baraadar kaa jigar yaad aya
jab se karbobala x2
Tukde Qassim ke utha te huwe maula ne kaha wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba x2

Read More
Leave a comment

Aur Sham E Gharibaan Lyrics

Kayamat ke manzar sare kabalaa hai

na salaar hai aur na lashker bachaa hai Qayamat ka manzar
Khudda yaa kisi par na raat aaye aisi
ye kehte huwe suraj gurur ho gayaa hai
Qayamat ka manzar
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban, saadat hai pardes hai
Kya waqt hai Ghazi nahi Zainab hai Nigheban
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2
saadat hai pardes hai

1. Ai raat andhero ko zara aur barhaa de
Maqtal ki hawaa jhalte Charaghon ko bujaa de
Dekhe naa Alamdaar behen ko sar-e-uriyaan
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2
saadat hai pardes hai

2. Bibi koyi jhule ki jali raakh utha ker
kehti hai agar tu nahi aayaa Ali asgar
khud run me chali aaengi besheer teri maa
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2

3. Tu bhi naa rahaa jee ke karoon kiyaa mere bache
khud apnne hi hathon se meri kabr bana de
lailaa pe ye hoga Ali Akber tera ashsaan
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2

4. Daryaa pe tarapta hai hai alamdaar kaa laashaa
maqtal me ajab haal se ati hai sakina
Khaimo kaa dhuwan aankh me jhal taa huwaa daman
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2

5. kehte hai ye jhalte huwe khaymon mei musalle
sajaad tahajud to zara chain se perhle
Afsoos ye mohlat bhi nahi dete musalman
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2

6. Woh waqt Taqallum tha ajab bint-e-Ali per
Kehne lage maula jo nikaab apni uthaa ker
me baap hu Zainab muje pehchaan meri jaan
Sadaat hai pardes hai aur Sham-e-ghariban x2

Read More
Leave a comment

Shab-e-Taree Lyrics

Shab-e-Taree Lyrics

Ya Aba Saleh x4
Kabhi Aiy Haqeeqate Muntazar Nazar aa Libas-e-Majaz main x2
Kay Hazaron sajday tarap rahay hain meri Jabeene Niaz Main
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab e Tareh, Shab e Taree

1. Ai Masihae jahan wariso mukhtaar-e-Haram
Aiy meray barhway maula teri azmat ki qasam
Jis tarha hay mujhay Allah kay honay ka yaqeen
Is tarha hay teri ghaybat pay yaqeen e mohkam
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Taree

2. Apni her sans mujhay lagti hay khanjar ki tarha
Hijr e malik main hun betaab main nokar ki tarha
Lamha lamha mery sarkaar teri amad ka
Muntazir rehta hun shabbir kay mimber ki tarha
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh

3. Jub nai roshni payghame sahar laati hay
Khud ba khud khana e kaba pay nazar jaati hay
Jub nazar ata nahi hay tera jalwa maula
Ho kay mayoos nazar meri palat aati hay
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh

4. Lazzate hijr teray wasal ka aaina hay
Teri furqat ka meray dil main azakhana hay
Meri is baat ki behlol gawahi dengay
Jo bhi deewana hay tera wo bara dana hay
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh
GUMGASHTA E MAZAR E MUHABBAT KUJAAEE
YA ALI YA ALI ABA SALEH

5. Mun bakhale labat aiy doost giraftaar shudam
Chashame beemar tura deedamo beemar shudam
Farigh az khud shudam khoose anal haq bizadam
Hamchu mansoor kahreedare sar-e-daar shudam
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh

6. Intezaare ali kabar main jahan say guzri
Apnay bhai say bichar kar jo kabhi mil na saki
Appko wasta hay Maula usi Sughra ka
Ub to aa jao kay ruk jain na sansain meri
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh

7. Jub kabhi ghaib say Rehan imama ain gay
Sath abbase dilawar ka alam laingay
Bay ridai ka jo zaynab ki wo badla lengay
Ashk sajjad ki ankhon kay bhi thum jaingay
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh x2

 

Read More
Leave a comment

Qasim Di Mehndi Agae Lyrics

Qasim Di Mehndi Agae Lyrics

Qasim di mehndi aagai, banre di maan pukardi x2
bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina Qasim di mehndi x2

1. Zainab ki hasrat, khuwahish hasan ki x2
arman sugra Qasim di mehndi
bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina Qasim di mehndi x2

2. pani nahin tha khoon main ghuli hai, joo bu hai khoon ki khusboo wahi hai x2
pamal hokar ran main sumo se, parhti hai noha Qasim di mehndi
bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina Qasim di mehndi x2

3. bazoo juda hai, tukre badan hai, matam ka jora pehne dulhan hai x2
dulha ki maan ko, ujri dulhan ko, deti hai pursa Qasim di mehndi
bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina Qasim di mehndi x2

4. Arsh-o-zameen par pehle na dekhi na aesi mehndi na aesi shaadi x2
sab so chuke hai ran main barati roti hai tanha Qasim di mehndi
bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina Qasim di mehndi
Qasim di mehndi aagai, banre di maan pukardi

5. tukre badan kai, ibn-e-hasn kai daman main chun kar shabir laaye x2
madar yeh samjhi kheme kai dar par, laaye hain mola Qasim di mehndi
bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina Qasim di mehndi x2

6. shadi kai ghar main matam hai barpa roti hai farwa roti hai kubra x2
karbo bala main kis kis ko degi tanha dilasa Qasim di mehndi
bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina Qasim di mehndi x2

7. pani nahin tha khoon main ghuli hai, joo bu hai khoon ki khusboo wahi hai x2
pamal hokar ran main sumo se, parhti hai noha Qasim di mehndi
bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina Qasim di mehndi x2

8. bazoo juda hai, tukre badan hai, matam ka jora pehne dulhan hai x2
dulha ki maan ko, ujri dulhan ko, deti hai pursa Qasim di mehndi
bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina Qasim di mehndi x2

9. Rehan kehdo har matami sai shadi ho ghar main jab bhi kisi kai x2
Qasim ki pehle majlis bapa ho, bhule na dhula Qasim di mehndi
bewah hasan ki ro kar pukari lao sakina Qasim di mehndi x2
Qasim di mehndi aagai, banre di maan pukardi.

Read More
Leave a comment