Ahmad Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi Lyrics

Ahmad Raza ka taza gulistan hai aaj bhi
Khursheed ‘ilm un ka darakhshaan hai aaj bhi

‘arsah hua woh mard e mujaahid chalaa gayaa
sunniyon main aik sozish e pinhaan hai aaj bhi

imaan paa rahaa hai halaawat ki naematein
aur kufr tere naam se larzaan hai aaj bhi

kis tarah itne ‘ilm ke daryaa bahaa deyee
‘ulamaa e haq ki ‘aql to hayraan hai aaj bhi

maghmum ahl e ‘ilm nah hon kyun tere liye
jab ‘ilm khud hi sar bagareeban hai aaj bhi

sab unke jalne walon ke ghu ho gaye chiraagh
Ahmad Raza ki sham’a farozaan hai aaj bhi

‘ishq e Habib e Paak mein dubaa hua kalaam
sarmaayah nishaat sukhandaan hai aaj bhi

(sall Allahu Ta’ala ‘alaihi wa Aalihi wasallam)

bhar di diloun mein ulfat o ‘azmat Rasul ki
jo makhzan e halaawat e imaan hai aaj bhi

(sall Allahu Ta’ala ‘alaihi wa Aalihi wasallam)

tum kya gaye ke rawnaq e mehfil chali gayei
sh’er o adab ki zulf e pareshaan hai aaj bhi

‘aalim ki mawt kehte hain ‘aalam ki mawt hai
apne kiye peh mawt pasheeman hai aaj bhi

wabastagaan kyun hon pareeshaan un peh jab
lutf o karam unka damaan hai aaj bhi

lillah apne faiz se ab kaam lejiye
fitnoun ke sar uthaane kaa imkaan hai aaj bhi

Taibah main us ki zaat salaamat rahe keh jo
teri amaanatoun kaa nighehbaan hai aaj bhi

Mirza sare niyaaz jhukaataa hai is liyee
‘ilm o ‘amal peh aap ka ihsaan hai aaj bhi

– Manqabat of Shaykh al Islam al Mujaddid al Aazam Imam Ahmad Rida
rahimahullahu Ta’ala

Read More
Leave a comment

Koyi Aaey Koyi Jaaey Lyrics

Allah Allah, Allah Allah…..

Zindagi mout ka nishana hai,
Sab ko eik din yahan say jana hai.

Koyi aaye koyi jaaey, yeh tamasha kiya hai!
Kuch samajh main nahin aata, kay yeh dunya kiya hai.

Aanay walay, to chaley jatay hain wapas lekin
Yeh azaal hi say sub nay dikha hai,
Us ki hikmat ka eik karishma hai, mernay wala kabhi nahin aata
Janay qudrat ka kiya mu’ama hai
Aaney waley to chaley jatay hain wapas lekin
Janay walay nahin aatay, yeh fasana kiya hai.

Teray ahbab, teray dost, terey ghar walay
Baad mernay kay, teray ahbab kaam aayein gay kiya?
Zindagi bhar ki mohabbat aik muthi khak hai.
Teray ahbab, teray dost, terey ghar waley
Tujhko mitti mein mila dein gay samajhta kiya hai?

Dafan ker kay yeh tasali bhi diye jatay hain
Rafta rafta sabhi aa jayein gay darta kiya hai?

Do ghari royein gay ahbab teray ay Kamil
Aina dekh kay har baat hua kerti hai
Aamnay samnay din raat huwa kerti hai
Baad mernay kay nahin kaber pay aata koi
Jeetay jee sab say mulaqat hua kerti hai.

Do ghari royein gay ahbab teray ay Kamil
Phir hamesha ko bhula dein gay samajhta kia hai?

Koie aaye koie jaaye yeh tamasha kia hai?
Zindagi naam rakh diya kis nay?
Mout ka intzaar hai dunya
Aik lamhay main idhar say udhar
Char din ki bahar hai duniya.

Allah, Allah, ALLAH
ALLAH… ALLAH… Allah!

Nasihat Lyrics

Naseehat Name: Koi Aaye Koi Jaye
Artist: Hafiz Mohammed Tahir Qadri
Cheif Executive: Ashraf Imran Sajan
Chief Editor: Akbar Qureshi
Assistant Editor: Mujtaba
Post: Genius Records
Produced By: Meem Journey

Read More
Leave a comment