Andhere Mein Dil Ke Chiragh-e-Muhabbat – 2 Leave a comment

Javeria Saleem

Lyrics

Andhere mein dil ke Charage Muhabbat Ye kis ne jalaya sawere sawere

Liya jab se meine Ye naame Muhammad Bada lutf aaya sawere sawere

Akidat ki manzil ka bas raaz ye hai Isha ke wuzu se ada ho sahar bhi

Ibadat ka sauda andhere andhere Munafa kamaya sawere sawere

Khuda ki kasam ye hakeekat hai sehra Ke be-noor aankhon mein bhi noor chamka

Tere sabz gumbad ko suraj ki kirnon Ne jab jagmagaya sawere sawere

Ibadat kiye jaa namazein pade ja Shabo roz sajdon pe sajde kiye ja

Ibadat usi ki namazien usi ki Jise panjatan ka garana mila hai

Madine ke jalwe Madine ki raatein Hamein ae khudaya dikha jaldi jaldi

Tadapte hein din raat jo hazari ko Unhe ae khudaya bula jaldi jaldi

Khayal e madina mein nind aa gayi jab Karar aa gaya be karari ko meri

Kiye sabz gumbad ke meine nazare Bada lutf aaya sawere sawere

Wo roze ka manzar wo mehrabo mimbar Wo jannat ki kyari badi pyari pyari

Jahan par lagi mere aaqa ki taliyan Wo galiyan hamein bhi dikha jaldi jaldi

Jinhe sunke karte the iftaro sehri Sabhi maahe ramzan mein usshake nabawi

Jinhe sunke hota hai ek kayf taari Hamein wo azanein suna jaldi jaldi

Kayamat ka ek din mu’ayyan hai lekin Hamare liye har nafas hai kayamat

Madine se ham jaan nisaron ki doori Kayamat nahin hai to fir aur kya hai

Kahan mein kahan ye madine ki galiyan Ye kismat nahin hai to fir aur kya hai

Jahan roza e paake khairul wara hai Wo jannat nahin hai to fir aur kya hai

Muhammad ki azmat ko kya puchhte ho Wo sahibe ka’ba kausayn thehre

Sare hashr aaqa ki mehmaan nawazi Ye azmat nahin hai to fir aur kya hai


download naat

[table id=7 /]

Leave a Reply