Aane Walon Yeh To Batao Leave a comment

Naat Khawan: Abdul Rauf Rufi

Lyrics

aane walo yeh to batao shehr madina kaisa hai

Sar un ky qadmon mei rakh kar
Sar un ky qadmon mei rakh kar; jhuk kar jeena kaisa hai

shehr madina kaisa hai

Gumbad e Khazra kay saay mei baith ky tum to aay ho

Us saay mei RAB kay aagy
Us saay mei RAB kay aagy; Sajda krna kaisa hai

aane walo yeh to batao shehr madina kaisa hai
shehr madina kaisa hai

Dewanoo aankhon say tumhaari; itna poochh to leny do

Waqat e Dua Rozay pe un kay
Waqat e Dua Rozay pe un kay; Aansoo bahana kaisa hai

aane walo yeh to batao shehr madina kaisa hai
shehr madina kaisa hai

Dil, Aankain awr Rooh Tumhari; lagti hain Sairaab Mujhy

Dar pe Un k baith kay
Dar pe Un k baith kay; Aab e Zam Zam peena kaisa hai

aane walo yeh to batao shehr madina kaisa hai
shehr madina kaisa hai

Waqat e Rukhsat Dil ko apny chhorr wahan tum aay ho

Ye batlao Ishrat un kay
Ye batlao Ishrat un kay; Dar say Bichharrna kaisa hai

aane walo yeh to batao shehr madina kaisa hai
shehr madina kaisa hai

Sar un ky qadmon mei rakh kar
Sar un ky qadmon mei rakh kar; jhuk kar jeena kaisa hai
aane walo yeh to batao shehr madina kaisa hai
shehr madina kaisa hai

download naat

[table id=14 /]

Leave a Reply