Paaray Paaray Pe Likha Hai Kamli Walay (PBUH) Ka Naam

Javeria Saleem
http://download.ufdpoint.com/naats/Javeria%20saleem/Paaray%20Paaray%20Pe%20Likha%20Hai%20Kamli%20Walay%20(PBUH)%20Ka%20Naam%20(www.UFDpoint.com).mp3

Lyrics

pare pare pe likhkha hai aaka ka naam
pyare aaka muhmmad(saw) pe lakho salam

ya khuda hum garibon ki fariyaad sun
be-kaso bad-nasibo ki fariyaad sun

taybah wale muhmmad(saw) ki ummat hain hum
sach to ye hain ke teri aamanat hai hum

phir bhi duniya me koi hahara nahi
hum garibon ka koi sahara nahi

kyo satata hai zalim zamana hame
koi aasa nahi hai mitana hume

hai hamari zaban pe muhmmad(saw) ka naam
paare paare pe likhkha hai

dil mai umara huwa gam ka tufan hai
phir bhi gafalat me harek muslaman hai

kis liye apni dolat pe phoola hai tu
tayabah wale muhmmad(saw) ko bhula hai tu

hay kya ho gaya tere imaan ko
taak par rakh diya tune kuran ko

dil mai kya tere aaka ki ulfat nahi
tuj ko masjid me jane fursat nahi

dino ima se muh mor betha hai tu
zikre maula ko kyu chhor betha hai tu

kyu nahi tere lab pe yahi subho sham
paare paare pe likhkha hai

khairo barkat ka saman lae nabi
inteha ye ke kuran lae nabi

be-saharo ko ‘anwar’ sahara mila
marhaba dubato ko kinara mila

jisko sarkar ka aasra mil gaya
ye samaj lo ke usko khuda mil gaya

lab jo khole muhmaad(saw) ne takrir ko
tor dala gulami ki zanzir ko

ho gae gam mai aazad sare gulam
paare paare pe likhkha hai


download naat

[table id=7 /]

Read More
Leave a comment

Mein Sou Jaon Ya Mustafa Kehte Kehte

Javeria Saleem
http://download.ufdpoint.com/naats/Javeria%20saleem/Mein%20Sou%20Jaon%20Ya%20Mustafa%20Kehte%20Kehte%20(www.UFDpoint.com).mp3

Lyrics


Mein Sou Jaon Ya Mustafa Kehte Kehte
Mein Sou Jaon Ya Mustafa Kehte Kehte
Khule aankh salle ala kehte kehte
Salle ala, Salle ala, Salle ala, Salle ala, …….

Jidher dekhti hon ghamon ka andhera
bohat door hai arzoo ka sawera
mein roti hoon Ya Murtaza kehte kehte
Mein Sou Jaon Ya Mustafa Kehte Kehte…….

Mere aasoon mein Madeene ki galian
Na, jane khilein kab umeedon ki kalian
thaki mein safe anbia kehte kehten
Mein Sou Jaon Ya Mustafa Kehte Kehte…….

Museebat ki lehron mein dil ka safeena
madad ki jiye meri shahe madeena
bhanwar mein chali ya khuda kehte kehte
Mein So Jaon Ya Mustafa Kehte Kehte…….


download naat

[table id=7 /]

Read More
Leave a comment