Lyrics
naimatein bant’ta jis simt woh zeeshan gaya
sath hi munshi-e-rahmat ka qalamdaan gaya
le khabar jald keh ghairon ki taraf dhiyan gaya
mere moula meray aaqa tere qurbaan gaya
dil hai woh dil jo terii yaad se maa’mur raha
sar hai woh sar jo teray qadmoon peh qurban gaya
unhain jaana, unhain maana, na rakha ghair say kaam
lillahil hamd mai duniya se musalman gaya
jaano dil hosho khirad sab to madinay pohnchay
tum nahin chalte raza saara to saman gaya
aah wo ankh ke nakam e tamanna hi rahi
haaye wo dil jo tere dar say pur-armaan gaya
aaj le unki panaah aaj madad maang unse
phir na maanain ge qayamat main agar maan gaya
[table id=13 /]