Rab Nain Diya Hai Unko Lyrics

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Yih khawaab main nay deka, taiba ka kaafila hai
Aur naat parte parte main uss main jaa raha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Farzaangi ki hadd tak, diwaana ho gaya hoon
Main unki naat keh kar, masti main jhoomta hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Deykho mera tassw’wur, rouzey key saamney hoon
Dil naat par raha hai, main chup kharaa hua hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Nazr-e-karam huee jab, aqa ney jub bulaya
Uss dam yehi kahoon ga, aqa main aaraha hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Apney ghulaam ka wo, mujh ko ghulaam rakh ley
Main chup kharaa hua hoon, aur mahv-e iltija hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Jannat khuda na deyga, jab tak na wo kahey gey
Rub kee raza hain aaqa, main itna jaanta hoon
Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey hai meri nisbat, ab aur chahiyeh kiya
Merey wuhi hain sub kuch, main un ka ho chukka hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon

Un sey miley hain saarey, alfaaz merey kab hain
Main un sey naat leykar, duniya mey baant’ta hoon

Mar jaon Abidi jub main naat parte parte
Tum sab yakin karna imaan par mara hoon

Rab nain diya hai unko, main un sey maangta hoon
Aaqa key dar ka main bhi, adna sa ik gada hoon.

Naat Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo

Read More
Leave a comment

Madinay Main Yeh Hotay Hain Lyrics

Madinay main yeh hotay hain, yahan par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.

Khyaalon ka, safar in ko, Madinay ley ke jaata hain
Nabi ki yaad sey ghaafil, yeh ik pal bhi nahin hotay.

Madinay main yeh hotay hain, yaha par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.

Yeh jin ke sadqey khaatay hain, unhee ke ghun yeh ghaatay hain
Kisi bhi ghar ke dar par, nahin jhooktay, nahin rotay.

Madinay main yeh hotay hain, yaha par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.

Inhen Hasnain sey ulfat, hai unkay nana sey ulfat
Hain panjtan paak ke aashiq, kisi sey yeh nahin dartey.

Madinay main yeh hotay hain, yaha par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.

Darud-e-paak partay hain salaam un ko yeh kartey hain
Yih rahmat paaey jaatey hain, teree tarha nahin khotay.

Madinay main yeh hotay hain, yaha par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.

Zarra deyko, to diwaanay pukaaray marhaba aqa
Yih un ke jashne aamad sey, kabhi ghaafil nahin hotay.

Madinay main yeh hotay hain, yaha par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.

Diwano main, dawana Aabidi behi yih shayad
Jo kehta phir rahaa hai aaj ki shab hum nahin sotay.

Madinay main yeh hotay hain, yaha par yeh nahin hotay
Diwaaney Barwee ki shab, nahin sotay, nahin sotay.

Urdu Naats Information:

Naat Sharif Reciter: Farhan Ali Qadri
Album: Aa Gaye Sarkar
Producer: Muhammad Ali Qadri
Release: M.F. Stereo

Read More
Leave a comment