Meetha Meetha Hai Mere Muhammad (Peace Be Upon Him) Ka Naam

Naat Khawan: Dr Amir Liaquat Hussain
http://download.ufdpoint.com/naats/Dr.%20Aamir%20Liaqat/Meetha%20Meetha%20Hai%20Mere%20Muhammad%20(Peace%20Be%20Upon%20Him)%20Ka%20Naam%20(www.UFDpoint.Com).mp3

Lyrics


Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam
Un Pe Lakhon Karoron Durood O Salam
Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam
Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam
Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam

Jisne Aake Sawaara Hai Daarain Ko
Jiski Rehmat Ne Dhanpa Hai Kaunain Ko
Jiske Dum Se Hi Yeh Raunaken Hain Tamam
Un Pe Lakhon Karoron Durood O Salam
Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam

La Makaan Ke Bane Hain Wohi To Makeen
Jin Ki Naalain Ko Choome Arsh-E-Bareen
Jo Khuda Se Huwe Arsh Par Hum Kalaam
Un Pe Laakhon Karodon Durood O Salam
Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam

Waqt Laaye Khuda Jaaye Darbaar Par
Aur Khade Ho Ke Roza-E-Sarkar Par
Pesh Mil Kar Kare Hum Durood O Salaam
Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam

Ek Khuda Ki Raza Jis Ka Maqsood Tha
Zulm Sehta Raha Shukr Karta Raha
Jis Ke Sabr O Tahammul Ke Charche Hain Aam
Unpe Lakhon Karodon Darood O Salam
Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam

Shah-E-Konain Woh Ruh-E-Daarain Woh
Fakhr-E-Hasnain Woh Ghaus-E-Sakalain Woh
Jin Ke Dar Ka Hai Hafiz Bhi Adnaa Ghulaam
Unpe Lakhon Karoron Durood O Salaam
Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam

Meetha Meetha Hai Mere Muhammad Ka Naam
Un Pe Lakhon Karoron Durood O Salam


download naat

Attention: The internal data of table “8” is corrupted!

Read More
Leave a comment

Mangton Ko Sultan Banaya

Naat Khawan: Dr Amir Liaquat Hussain
http://download.ufdpoint.com/naats/Dr.%20Aamir%20Liaqat/Mangton%20Ko%20Sultan%20Banaya%20(www.UFDpoint.Com).mp3

Lyrics


Mangton Ko Sultan Banaya Mere Kamli Wale Ne
Jab Apna Darbaar Lagaya Mere Kamli Wale Ne
Maalo Zar Ki Baat Nahi He Sab Ye Karam Ki Baate Hain
Jis Ko Chaha Dar Pe Bulaaya Mere Kamli Wale Ne

Baara Rabi Ul Awal Ke Din Noore Khuda Ki Kirno Se
Aminah Tera Ghar Chamkaaya Mere Kamli Wale Ne

Jis Per Apna Rang Chadhaya Mere Kamli Wale Ne
Daata Fareed Or Khwaja Banaaya Mere Kamli Wale Ne

Jitna Kharch Mai Karta Jaao Utna Badhta Jaaye Hai
Baksh Diya Aisa Sarmaaya Mere Kamli Wale Ne

Unka Zikr Karte Karte Neend Ali Jab Aayi Mujhe
Mujh Ko Apna Jalwa Dikhaaya Mere Kamli Wale Ne


download naat

Attention: The internal data of table “8” is corrupted!
Read More
Leave a comment

Maula Ya Salle Wasallim

Naat Khawan: Dr Amir Liaquat Hussain
http://download.ufdpoint.com/naats/Dr.%20Aamir%20Liaqat/Maula%20Ya%20Salle%20Wasallim%20(www.UFDpoint.Com).mp3

Mawlaya Salli Wassalim da-Iman
Abadan, Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kullimi.

Mawlaya Salli Wassalim da-Iman Abadan
Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kullimi

Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu alayhi wasallam
Sallallaahu alayhi wasallam.

Da-aa illallahi fal-mustamsikuna bihi,
Mustamsykuna bihablin ghairi munfasam.
Da-aa illallahi fal-mustamsikuna bihi
Mustamsykuna bihablin ghairi munfasam.

Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu alayhi wasallam
Sallallaahu alayhi wasallam.

Muhammadun Sayyidul Kawnayni
Wa-Thaqalain, Wal-Fareeqaini Min Urbin Wa Min-Ajami.
Muhammadun Sayyidul Kawnayni Wa-Thaqalain
Wal-Fareeqaini Min Urbin Wa Min-Ajami.
Ap jinno ins or konain ke sardar hain
Wo Arab ho ya Ajam hon Ap hi mukhtar hain

Huwal habi bul lazi turjashafa atuhu
Likuli haun lihiminul Ahwale mukhtrami
Wo habib ase ke jin sey ha shifa’aat ki umeed
Waqte holo khuf main paish aye jo ranjo alam

Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu alayhi wasallam
Sallallaahu alayhi wasallam

AsSiqqoufill ghari wasidqulumyulaya
Waumyakulunna maa bill ghari min gharimin
Ap or sidduque Akbar ghar me mehfoos the
Zaat haq thi pasaban donon behizno Alam

Thummar Rida An Abi Bakriw Wa An
Umarin, Wa An Aliyyiw Wa An Usmana Zil Karami.
Thummar Rida An Abi Bakriw Wa An Umarin
Wa An Aliyyiw Wa An Usmana Zil Karami

Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu alayhi wasallam
Sallallaahu alayhi wasallam.

Ya Rabbe Bil Mustafa Ballig Maqasedna,
Wag Fir Lana Ma Madaya Wase Al Karami.
Ya Rabbe Bil Mustafa Ballig Maqasedna
Wag Fir Lana Ma Madaya Wase Al Karami

Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu aleyhi vesellem
Sallallahu alayhi wasallam
Sallallaahu alayhi wasallam.

Mawlaya Salli Wassalim da-Iman
Abadan, Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kullimi
Mawlaya Salli Wassalim da-Iman Abadan
Ala Habi Bika Khairil Khalqi Kullimi


download naat

Attention: The internal data of table “8” is corrupted!

Read More
Leave a comment

Man Nachat Hai

Naat Khawan: Dr Amir Liaquat Hussain
http://download.ufdpoint.com/naats/Dr.%20Aamir%20Liaqat/%20Man%20Nachat%20Hai%20(www.UFDpoint.Com).mp3
tora janam divas jab aawat
tore naam ki bansi sun sun kr
more man ka kamal khil jawat h
man nachat h…

jab koyi koyalliya amm waapar
tori prem kavita gavat h
tore prem ka mitha mitha raas
man aagan me barsawat h
man nachat h…

tori bansi bajat h man me
tori geet h galiyo galiyo me
har taan agan ban jawat h
mora tan man sab jal jawat h
wo hamre taaj banane ko

wo hamre baag jagane ko
aakash se dharti dharti se
aakash pe jaawat aawat h
man nachat h…

aur jo laag gyr ki laaj rakhe
mangto ke sarr pr taaj rakhe
wo hi gyan dhyan dib murad
wo hi mora dharam kehlawat h
man nachat h..

man gawat h …

tora janam divas jab aawat h
Dua me yaad rakhe…


download naat

Attention: The internal data of table “8” is corrupted!

Read More
Leave a comment

Main Sajda Karoon Ya Dil Ko Sanbhaloon

Naat Khawan: Dr Amir Liaquat Hussain
http://download.ufdpoint.com/naats/Dr.%20Aamir%20Liaqat/Main%20Sajda%20Karoon%20Ya%20Dil%20Ko%20Sanbhaloon%20(www.UFDpoint.Com).mp3

Mein sajdah karun ya ke dil ko sambhalun muhammad ki chokhat nazar aa rahi hei
Issi be-khudi main kahiin kho na ja-un tarrap kamli waale ki tarrap aa rahi hei

Do aalam ka daata mere saamne hei ke kaabe ka kaaba mere saamne hei
Ada kyun na farz-e-muhabbat karun mein khuda ki khudaii jhuki ja rahi hei

Galai main hein zulfain to neechi nigahain nazar chuumti hei madine ki raahein
Farishte bhi barh kar qadam choomte hein muhammad ki jogan chali aa rahi hei

Faqeeri ka mujh main nahiin hei saleeqa na aata hei kuch maangne ka tareeqa
Idhar bhi nigaahe karam kamli waale zamane ki jholi bhari ja rahi hei

Farishto sar-e-raah ankhain bicha do uttho behr-e-tazeem sar ko jhuka do
Khuda keh raha hei mere dilruba ki wo dekho sawaari chali aa rahi hei

Ye farmaya haq ne ke pyaare muhammad hamare ho tum ham tumhare muhammad
Hamain apne jalwon main eh kamli waale tumhari hi surat nazar aa rahi hei

Ye jazba muhabbat hei rahmat khuda ki hei chokhat mere saamne mustafa ki
Mujhe kyun na ho naaz qismat pe muslim muhabbat kahaan ki kahaan la rahi hei


download naat

Attention: The internal data of table “8” is corrupted!

Read More
2