Soa TYayaba Jane Walo
Lyrics
Suey Taiba Jane Walo, Mujhe Chorr Kar Na Jana
Meri Ankhon Ko Dikha Do Shah-E-Deen Ka Aastana
Hain Wo Jaaliyan Sunehri Meri Hasratoon Ka Mehwar
Wo Sahara Muj Ko Dein Ge Jo Hain Khas Rab Ke Dilbar
Mujhe Pohnch Kar Madine Nahin Laut Kar Hai Aana
Sooey Taiba Jane Walo, Mujhe Chorr Kar Na Jana,
Main Tarap Raha Hon Tanha, Meri Be Bebasi To Dekho
Main Asseer-E Ranj-O-Gham Hoon, Meri Be Kali To Dekho
Zara Roza-E Nabi Ka Mujhe Rasta Dikhana
Suey Taiba Jane Walo, Mujhe Chorr Kar Na Jana,
Darr-E-Mustafa Pe Meri Jab Haazari Lage Gee
Mujhe Phir Karam Se Un Ke Naey Zindagi Mille Gee
Mere Laab Pe Raat Din Ho Shahe Bat,ha Ka Taraana
Soey Taiba Jane Walo, Mujhe Chorr Kar Na Jana,
Koi Kal Ke Aik Pal Ka Nahin Kuch Bhi Hai Barhossa
Mujhe Humsafar Bana Lo Kahin Reh Na Jaoon Tanha
Dar-E-Mustafa (SAWW) Hai ISHRAT Mera Akhri Tikhaana
Suey Taiba Jane Walo, Mujhe Chorr Kar Na Jana,
Rahmat Ka hai Darwaza Khula
Lyrics
Rahmat Ka hai Darwaza Kula Maang Arey maang(2)
Dettha Hai Karam Unka Sadha Maang Arey maang(2)
A Jaayega… Thayba se Bulava ki Kisi Roz(2)
Har waqth Madine Ki Dua Maang Arey Maang (2)
Dettha Hai Karam Unka Sadha Maang Arey maang(2)
Manyoos Na ho… ke mere Laj pal Ka Dhar hai(3)
Hai Kisliye Khamosh Kadah Maang Arey Arey Maang (2)
Dettha Hai Karam Unka Sadha Maang Arey maang(2)
Bhar Jaayega… Kashkol Muradon se Tera bhi(2)
Ban kar mere Aqa ka gadha Maang Arey Maang(3)
Dettha Hai Karam Unka Sadha Maang Arey maang(2)
Sarkar se… Sar kar ko Maangoon ka Niyazi (2)
Sarkar ne Jis waqth ka han maang arey maang (2)
Dettha Hai Karam Unka Sadha Maang Arey maang(2)
Gulshan Teri Ummid Ka, Khil Jaaega Aey Dost
Sarkaar Ke Kuche Ki Hawa, Maang Arey Maang
Rehmat Ka Hai Darvaazaah Khula
Mehroom Rahega Na Koi, Un Ke Karam Se
Hai Josh Pe Daryaaey Sakha, Maang Arey Maang
Rehmat Ka Hai Darvaazaah Khula
Nehmten Bantata Jis Simt
Lyrics
naimatein bant’ta jis simt woh zeeshan gaya
sath hi munshi-e-rahmat ka qalamdaan gaya
le khabar jald keh ghairon ki taraf dhiyan gaya
mere moula meray aaqa tere qurbaan gaya
dil hai woh dil jo terii yaad se maa’mur raha
sar hai woh sar jo teray qadmoon peh qurban gaya
unhain jaana, unhain maana, na rakha ghair say kaam
lillahil hamd mai duniya se musalman gaya
jaano dil hosho khirad sab to madinay pohnchay
tum nahin chalte raza saara to saman gaya
aah wo ankh ke nakam e tamanna hi rahi
haaye wo dil jo tere dar say pur-armaan gaya
aaj le unki panaah aaj madad maang unse
phir na maanain ge qayamat main agar maan gaya