Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
Aur Abb Bhi Hai Mairey Shaaney Pey Sar Udaasi Ka
Woh Kon Keemiyaa-gar Tha Ke Jo Bikheir Gaya
Terey Gulaab Say Chehrey Pey Zar Udaasi Ka
Merey Wajood Ke Khalvat-kadey Mein Koi To Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya Taaq Per Udaasi Ka
Main Tujh Say Kaisey Kahoon Yaar-e-Meherbaan Mairey
Ke Tu Hi Ilaj ha Mairi Har Udaasi Ka
Ye Abb Jo Aag Ka Darya Mairey Wajood Mein Hai
Yehi To Pehley Pehal Tha Sharaar Udaasi Ka
Na Janey Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar-e-shaam
Woh Maira Dost, Maira Humsafar Udaasi Ka
‘Faraz’ Deeda-e-Puraab Mein Na Dhoondh Ussey
Ke Dil Ki Teh Mein Kahin Hai Gohar Udaasi Ka !