Tumhe zid hy k iqrar-e-wafa tum ne nahi karna
Meri taqdeer mein rang-e-HinA tum ne nahi bharna
Tumhe manzoor he shayad mera ghut ghut k he marna
Tumhare faisaly per ab,sar-e-tasleem kham hoga
Main apny hont see loon ga
Yu he bekaif gee loon ga
Tumhare hijer ki tasveer ko dil main saja loon ga
Tumhare jaber apny sabar ko main aazma loon ga
Magar ek baat main pounchoon
Tumhe apni qasam
Tum rakh k apny ser per haath
Phir phir khena
Tumhare dil mian mere naam se hal chul nahi hoti
Mere khat parh k jazbo mian koi tufan nahi uthta
Jawan raaton mein meri yaad ki shamay nahi jalti
Tumhari dharkano main kya meri yadien nahi palti
Tu phir tum ne azziyat ki ye rada
Kyoun taan rakhi hai
Ye dil mian thhaan rakhi hai
Bahut baichan khud rehna
Mujhe barbad sa rakhna
Bhulana bhi tu uss k sath kuch kuch yaad sa rakhna
Har ek andaaz ko apne sitam ejaad sa rakhna
Agar es shauq se tum ko koi taskeen milti hai
Tu mere zakhm-e-talab ka “tazkara” ab kam se kam hoga